tumhein khwahish ko chhune ki tamanna hai khwahishen to udti-phirti titliyan hain dak ki nakara ticketen to nahin hain jinhen album mein rakh kar tum ye samjho ki ye nayab chizen ab tumhaari dastaras mein hain tumhein sapne pakadne ki tamanna hai nahin ye ghair-mumkin hai ki sapne an-chhue lamhon ke nazuk aks hain aaraishi belen nahin jo kamre ki kisi diwar par saj kar tumhaari did ka ehsan uthaen tumhein kohre ke bhige phul chunne ki tamanna hai ye kohra to charagh-e-mausam-e-gul ka dhuan hai koi diwar-e-berlin par khinchi tahrir ya naqsha nahin jise jis waqt jo chahe badal de ya mita de sabz-ru kohra pakadna is qadar aasan nahin suno diwangi chhodo chalo wapas haqiqat mein chalen