aadhi raat ko phone baja aur ubhri ek an-jaani maghlub sada apni chikh ki dahshat se abhi abhi wo jagi hai malum hua baizawi chehra be-surat sar par mude-tude do sing aur sine ke wast mein ek panj-koni aankh aankh ki putli mein mera hi aks muqayyad aatish-fishan pahad ki gahrai se ubhar kar khuni panje bhench bhench kar khurdure lahje mein wo chikha apni marzi ki to subh bistar par jism nahin makdi ka jala paogi mera hukm hai aa jao aur barahna hote hi mujh ko chhu kar mere jaisi ban jao aa jao aa jao aa jao