chamche ki dua

lab pe aati hai dua ban ke ye chahat meri
zindagi qab ke chamchon ki ho surat meri
kali daulat se mere ghar mein ujala kar de
aur gharibon ki gharibi ko do-baala kar de
chatpati baat meri garm masala ho jae
khwah janta ka mere dam se diwala ho jae
zindagi ho meri netaon ki surat ya-rab
ho faqat apni gharaz se hi mohabbat ya-rab
rahun aazad na ho qaid-e-maqami malik
dil badalna ho mera shaghl-e-dawami malik
chaplusi ke hunar mein mujhe yakta kar de
jo bhi ho mere muqabil use paspa kar de
itni tasir khushamad mein ata kar maula
ki hamesha rahe qabze mein minister maula
chadhte suraj ka ho qismat mein pujari banna
mujh ko manzur nahin phir se bhikari banna
roghan-e-qaz ki malish ka saliqa aa jae
dam mein fanste rahne ka tariqa aa jae
mere fitnon se har ek ghar ko ukhada kar de
ghair to ghair hain apnon ka kabada kar de
lekin allah pitai se bachana mujh ko
juta chappal na pade dahr mein khana mujh ko
This is a great malik ahsan shayari. True lovers of chaplusi shayari in hindi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore chamcha shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close