sar-shor chanab autar mere mere mohan sagar sayyare teri ghokar jiwan ka sargam teri lahar lahar barham barham jab utrun khol ke pairahan tere pani gale milen mujh se teri thandak sine sawan ke teri mahak mohabbat ki barkha tere jal-thal jal-thal manzar se meri ranon mein gudgudi si ho mere talwon mein do phul khilen mere sohan sagar sayyare mere pagal wahshi banjare tu aahu sabz zaminon ka tu zaer-e-pak madinon ka tu shahid mauj ke melon ka tu shokh musafir belon ka teri chaal mein masti moron si teri dahshat uthre dhoron si mere pagal wahshi banjare mere mohan sagar sayyare tu khuli kitab ajaib ki tera waraq waraq tufan lage teri katha mein ramzin shahd bhari tu nafas nafas insan lage main zard kinare ka patthar mera badan babulon ki dali mujhe amrit de mujhe zahr pila mera jism hai andar se khali mere mohan sagar sayyare tu sabz kachor pahadi ke barbaad shiwalon ka waris bichhdi hui kunjon ka maskan bhatke hue baglon ka dariya mera mohan sagar sayyara mera pagal wahshi banjara sar-shor chanab autar hai tu aur yar ajab shahkar hai tu