chupke chupke raat ko tashrif jab lata hai chand har taraf dharti pe kaisa nur barsata hai chand pahle din ke chand ko sab log kahte hain hilal chaudhwin tarikh ho to badr kahlata hai chand pur-sukun mahaul tare kahkashan thandi hawa raat ki mahfil mein aksar raqs farmata hai chand jab ghata ghanghor aati hai kabhi barsat mein odh kar sapnon ki chadar shab mein so jata hai chand kahti hai bachche ko mera chand kahte pyar se istiara pyar mein ek man ke ban jata hai chand har ghadi betab hain mama ke darshan ke liye chhote bachchon ke dilon ko khub bahlata hai chand tum ko bhi bachpan mein ai 'abrar' kitna pyar tha jis tarah 'danish' miyan ko aaj-kal bhata tha chand