diwali ke dip jalaen aa jao raushan raushan git sunaen aa jao goshe goshe mein tazin-o-zebai saf karen har dil ki maili angnai fitrat ne bhi masti mein li angdai khushiyon ka sangit sunaen aa jao diwali ke dip jalaen aa jao raushan raushan git sunaen aa jao aashaon ki manzil par sab common ho nafrat jae pyar ki jyoti raushan ho prem nagar mein chahe daw pe jiwan ho bhed-bhaw pe tir chalaen aa jao diwali ke dip jalaen aa jao raushan raushan git sunaen aa jao raushniyon ke jal bhi kitne sundar hain dipak malaen ghar ghar ka zewar hain phul-jhadiyon jaise chehron par tewar hain har zulmat ko aaj mitaen aa jao diwali ke dip jalaen aa jao raushan raushan git sunaen aa jao haar chuke har bazi ab rawan wale lakshmi ki puja karte hain dhan wale apni duniya hum bechaare man wale aatish-bazi chamkaen aa jao diwali ke dip jalaen aa jao raushan raushan git sunaen aa jao sab ke liye khush-haali ka ye sal rahe har insan ki qismat mein zar mal rahe na koi ab is dharti par kangal rahe har qismat par nur banaen aa jao diwali ke dip jalaen aa jao raushan raushan git sunaen aa jao