ujjal ujjal komal komal chamkila chamkila chand nai naweli dulhan jaisa sharmila sharmila chand wo dekho wo muskata bal khata le kar angdai ek baadal ki ot se nikla chanchal shokh sajila chand ujli rangat gora mukhda us pe rupahli hai poshak taron ke jhurmut mein kaisa lagta hai bhadkila chand rup anup ki naw pe baitha kirnon ki patwar liye nil gagan mein tair raha hai sundar chhail-chhabila chand hum bhi chor sipahi luk-chhup aankh michauli khelenge taron ke sang khel raha hai uncha nicha tila chand ammi mera chand to dekho baalu-shahi jaisa hai nikhat baji ka hai kaisa kadwa aur kasila chand kirnon ki sidhi ke sahaare chhat par to aa pahuncha hai aangan mein pani na girao ho jaega gila chand chanda mamun chanda mamun kahte kahte munh sukhe phir bhi apne pas na aae ziddi aur hatila chand munna aaghun aaghun kar ke jab bhi apne pas bulae dham se aangan mein aa kude 'akhtar' rang-rangila chand