sahmi sahmi khoi khoi dasht ki do hirniyan yaad aati hain mujhe wo zakhm-khurda ladkiyan in ke chehre jagmagate the khizan ki dhup se dard ki barish ho jaise rup ke bahrup se un ka dil mahrumiyon ka ek gahra gham liye aur aankhen jis tarah hon jalte-bujhte se diye aate jate dekhta tha roz un ko rah mein jaise pagal ho chala tha main bhi un ki chah mein phir na jaane kya hua kis lahr mein wo kho gain koi un ka ho gaya ya wo kisi ki ho gain