chand

shakl hai meri jaise katora
ya koi chandi ka gola

rang hai mera gora gora
andheri shab ka main hun ujala

mera ujala har ja phaila
bagh ho basti ya ho sahra

chahti hai mujh ko sab duniya
ghar ghar hai mera hi charcha

mujh se bahalta hai ji sab ka
chhota bachcha ho ya budha

hain aakash pe jitne tare
hain ye sab mere hi pyare

meri chamak ke aage dekhi
raushni hai in sab ki phiki

haq ne itna rutba badhaya
main ne uncha darja paya

tum ai bhole bhaale ladko
dekho mujh ko aur sabaq lo

faeda tum bhi kuchh pahunchao
jiyo to kaam sabhon ke aao

git tumhaare gaegi duniya
hoga tumhaara har-ja charcha

haq hai 'jauhar' ka ye kahna
kaam aana jab tak bhi rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close