chand buDhi nazMein

1
poti se dadi banne ke lambe safar mein

aisa koi padaw nahin aaya tha jis par
ruk ke taza dam hone ki

sukhi sondhi payal pe pad ke
mithe mithe sapnon mein so jaane ki mohlat milti

ab manzil par aa ke thak ke chur padi wo
mithe sapnon mein so jaane ki koshish

karte karte kya behaal hui jati hai
khans khans ke sari raat guzar jati hai

2
bhare-pure mahlon jaise is ghar ka

ek ek kamra
apne apne nam se ab reserwe kara rakkha hai sabhon ne

wo jo barsati mein biti yaaden odh ke leta
apne din ginta hai

name plate pe ghar ke usi budhe ka nam
likha hua hai bade bade harfon mein

3
rasta bilkul saf hai

pukhta sidhi sadak hai
nile wale bagh ke phulon se milne rozana

jaya ja sakta hai lekin kaise
soch ke hi pairon mein ainthan hone lagti hai

aur dam be-dam hone lagta hai
4

betabi se dhund raha hai kaise paega ab
wo sab kuchh jo chhod gaya tha

nae nae samanon se ghar chhat tak ata pada hai
pahle jo rakkha tha yahan wo un mein dab kar

tut ke chakna-chur hua ya koi kabadi
saste damon le ke gaya ye kaun batae

tal pe us ke lae hue stereo music system ke
sab thirak rahe hain

aise shor-sharabe mein ab us ki kaun sunega
pahle ghar walon se i s d par

minton ka hi rabta ek qaem to ho jata tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close