kans

us ko yun lagta tha jaise kuchh na kuchh kal ho rahega
jab wo mud kar dekhta tha us ko yun lagta tha jaise ek bahan ke sat bete us ka pichha kar rahe hon

aaine mein aks us ko sirf gardan tak dikhai de raha tha
us ki parchhain yun lagti thi ki jaise rauzanon se at gai

sans ki aawaz jaane kis jagah gum ho gai thi
har sitara jaise khud ko aankh mein dohra raha tha

jab wo chahta tha to us ke naqsh-e-pa mitti pe bante hi nahin the
jaise us ne surkh shoale haar mein gunthe hue hon

jaise wo mathura mein madar-zad nanga phir raha ho
aur us ko yaad aaya us ko narad ne bataya tha wo apne bap ka beta nahin hai

us ka tanha farz apne rishta-daron par mazalim todna hai
us ko kya malum tha jab maut aaegi to rishta-dar ban kar aaegi

jab wo mud kar dekhta tha us ko yun lagta tha jaise aathwen bete ke dast-e-rast mein
ek gada hai jis pe us ke nam ke hijje raqam hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close