zindagi ko dekha hai zindagi se bhage hain raushni ke aanchal mein tirgi ke dhage hain tirgi ke dhagon mein khun ki rawani hai dard hai mohabbat hai husn hai jawani hai har taraf wahi andha khel hai anasir ka tairta chale sahil dubta chale dariya chand ho to kakul ki lahr aur chadhti hai raat aur ghatti hai baat aur badhti hai ye kashish magar kya hai reshmi lakiron mein sham kaise hoti hai nachte jaziron mein har qadam nai uljhan sau tarah ki zanjiren falsafon ke virane dusron ki jagiren aandhiyan ujalon ki ghan-garaj siyasat ki kanpte hain sayyare raat hai qayamat ki jang se jale duniya chand ko chale pagal aankh par gire bijli kan mein pade kajal daur hai parindon ka chhed hai sitaron se kaenat aajiz hai hum gunahgaron se