mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu

mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu
kisi guzishta sadi ke utaq-e-viran se

na dal aur mere dil pe saya-e-gesu
wo ankabut jo tar-e-nafas mein jite hain

na jaane kaise dar aae hain teri mahfil mein
ki khun ye bhi tere rat-jagon ka pite hain

main jaanta hun kise mil saki kise na mili
wo gul-sarae bahisht-e-afrin magar phir bhi

mujhe nahufta na rakh ai mai-e-shikasta-dili
mere zuhur mein kuchh mumkinat mere hain

main dekh panw agar tujh se is ufuq se pare
to phir ye sare darakhshan jihat mere hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close