dard ki ek be-karan rut hai habs mausam ka raj har jaanib chand lamhe visal-mausam ke wo nashili ghazal si aankhen koi khushbu siyah zulfon ki lams phir wo hinai hathon ka koi surkhi wafa ke paikar ki phir se shirin-dahan se baaten hon dil ki duniya udas hai kitni koi manzar bhi ab nahin bhata chand lamhe visal-mausam ke