ghadi ki tik-tik bol rahi hai raat ke shayad ek baje hain batla house ki ek gali mein mote kutte bhaunk rahe hain ek khandar mein tez raushni chaaron jaanib phail rahi hai baghal mein leta sathi mera ab tak pub ji khel raha hai main bhi ab tak jag raha hun aankhen munde soch raha hun niche jaana kaisa hoga bahar kitni sardi hogi qutub sitara kidhar ko hoga raat ki rani kaisi hogi subh ka suraj kahan pe hoga abhi khuda kya karta hoga sadak kinare sone wale jode kaise sote honge in ko machchhar katte honge naum chomsky lawn mein baithe bachche aakhir kaise honge un ko kutte chatte honge kya in bhuk-zada bachchon ke khwab mein pariyan aati hongi kate-phate hathon ke takiye ke niche kuchh rakhti hongi kaisi baaten karte ho ji kya pariyon ka kaam yahi hai mahal sarae chhod ke ab wo sadak kinare aaengi kya raat ke shayad dedh baje hain batla house ka chauk khula hai raat ko job se aane wale raat mein job ko jaane wale ek hath mein liye chae cup ek hath mein chhoti cigarette sadak par kyon dekh rahe hain biryani ko dhundh rahe hain un ke pichhe sadak kinare qabristan ka gate khula hai andar kutte ghum rahe hain shayad khana dhundh rahe hain bahar cigarette aur coffee hai andar kafi tariki hai main bhi andar jhank raha hun haule haule soch raha hun qabristan ke andar mein ye latrine kis ne banwaya kyon banwaya shayad murde raat mein uth kar us ke andar jate honge hajat puri karte honge ya phir cigarette pine wale ladke andar jate honge khaki wardi ghar walon se chhup kar cigarette pite honge ek kinare adab ki malika sab kuchh baithi dekh rahi hai aag ka dariya chandni begam shishe ka ghar likhne wali aini aapa soch rahi hai mera qari kyon aaya hai shayad is ko gautam shankar talat ne uljhaya hoga ya phir us ko khayaban ki champa ne paglaya hoga ya phir is pagal ladke ne shuur ki rau ko chheda hoga ya phir is ne aag ka dariya aadha padh kar chhoda hoga falsafyana baaten sun kar sare murde sochte honge koi apni khwab-gah ko chhod ke aakhir kyon aaya hai main bhi baitha soch raha hun itni raat ko kyon aaya hun