chand sultana

ukhuwwat ke parastaron ki ek rangin duniya thi
harim-e-nur-o-naghma bazm-e-nahid-o-surayya thi

wo duniya sham-e-azadi ke parwanon ki basti thi
jahan fitrat sanwarti thi jahan masti barasti thi

wo duniya zindagi ke phul barsati hui duniya
mulaem nuzhaton ki raqs farmati hui duniya

jahan ek sans bhi lene se ghabraate the hangame
jalal-e-be-aman se dar ke so jate the hangame

wo duniya rashk-e-firdaus-e-barin malum hoti thi
khuda ka shahkar-e-behtarin malum hoti thi

jahan ishq-o-junun husn-o-wafa ki rajdhani thi
mohabbat masnad-ara thi mohabbat pur-jawani thi

jahan isar-o-khuddari ke parcham lahlahate the
jahan masum bachche maut se aankhen ladate the

musalsal baada-e-asudagi ke daur chalte the
lahu se parwarish pae hue arman nikalte the

adu jis ka kharab-e-gham shikar-e-na-muradi tha
har ek sahil-nashin jaan-soz tufanon ka aadi tha

wahi gulshan ab ek virana-e-abad hai goya
ghilaf-e-saz mein lipti hui fariyaad hai goya

abhi qile ki diwaron mein wo anwar baqi hain
tere zauq-e-tapish ke muzmahil aasar baqi hain

ye diwaren teri jurat ka afsana sunati hain
hanuz us mein himala ki adaen pai jati hain

hanuz in sarfaroshon ke tarane hain fazaon mein
teri aawaz-e-pa mahfuz hai ab tak hawaon mein

dil-e-viran ko muddat se hai tera intizar aa ja
khudara ai bahadur inqilabi shahsawar aa ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close