kahan se phaila hua hai ye silsila kahan tak guzar gaya sail himmaton ka bana ke ye kos kos sadiyon ki rahguzar si pahad chilla chadhi kamanon se tir phenken to aasman gir pade zamin par rawan-dawan waqt ke bahao mein ek lambi darad jaise padi hui hai azim diwar sar uthae khadi hui hai jhuke hue aasman ke niche jo is sahife ko aks-dar-aks bantta hai ye razmiya jo lahu ki shaffaf raushni se likha gaya hai zamin pe chingariyan udate hue wo aae jo bazuon se bulandiyon ka khiraj lete rahe shikam ko anaj de kar mashaqqaten jin ki bandiyan thin lahu ke namkin zaiqe raqs karte rahte the jin ke honton ke aastan par kadakti aawaz jabr ke chabukon ki bijli inhi pahadon pe kaundti thi yahin pe mehnat ke naqsh-gar ne lahu ke pani mein sang gundhe sada-e-tisha uthi to kohon se phut niklin baqa ki nahren zamin ko us ki bulandiyon ki taraf uthaya ufuq ko bandha ufuq se us ne qadim quwwat ke rakhsh ne das hazar li masafaton mein fana ke tatariyon ke lashkar ko mat de di yahin pe mehnat ke naqsh-gar ne silon ko pahna diye salasil bate hue khudgiraft qilon ki bad todi isi ne kohon ke sar pe gadha hazimaton nusraton ka parcham kushud kar ke jise udaya kai zamanon ke warison ne jo ud raha hai nasheb ko aasman ki jaanib uda raha hai jo kal ko kal se mila raha hai