chanda mamun

chanda mamun ghar mein tumhaare hum bhi ek din aaenge
rocket mein aakash ke upar sair ko hum bhi jaenge

pahle to hum kahte the ki chanda mamun dur ke
aa pakdenge ek din tum ko dekho na hum ko ghur ke

dekhenge hum upar aa kar sach-much pariyan rahti hain
jin pariyon ki roz kahani dadi amman kahti hain

nanhe munne bachche bhi kya chand nagar mein rahte hain
cricket tennis khelte hain kya schoolon mein padhte hain

bachchon ko kya khel khilauna koi wahan mil jata hai
ladte hain sab aapas mein ya pyar ka un mein nata hai

khet wahan bhi hote hain kya bagh wahan bhi hote hain
git sunati chidiyan hain ya baaten karte tote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close