ret se but na bana ai mere achchhe fankar ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la dun main tere samne ambar laga dun lekin kaun se rang ka patthar tere kaam aaega surkh patthar jise dil kahti hai be-dil duniya ya wo pathrai hui aankh ka nila patthar jis mein sadiyon ke tahayyur ke pade hon dore kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai ek wo patthar hai jo kahlata hai tahzib-e-safed us ke marmar mein siyah khun jhalak jata hai ek insaf ka patthar bhi to hota hai magar hath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai jitne meyar hain is daur ke sab patthar hain jitni aqdar hain is daur ki sab patthar hain sabza o gul bhi hawa aur faza bhi patthar mera ilham tera zehn-e-rasa bhi patthar is zamane mein to har fan ka nishan patthar hai hath patthar hain tere meri zaban patthar hai ret se but na bana ai mere achchhe fankar