roz-o-shab halqa-e-afat hain har lahza jawan silsila waqt ki gardish ka yahan sab hain pabandi-e-auqat-e-zamana mein magan jaan-o-tan fahm-o-khirad hosh-o-guman tum hi tanha nahin is sail-e-rawan mein majbur main bhi jiti hun yahan khud se gurezan ho kar phir bhi ek lamhe ki fursat jo mayassar aae dil wahin chupke se dhadkan ko jaga deta hai tar-raaton mein bikharti hain rupahli kirnen chandni pichhli mulaqaton ke aaine mein roz-e-ainda se milti hai gale kahti hai an-kahi baaton ki khushbu se moattar rakhna apni aawaz abhi zindagi kitni hi be-mehr sahmi phir bhi bahaar aaegi aankhon mein basae rakhna mere andaz abhi