tawaif

kabhi dil sochta hai in tawaif-zadiyon ki zindagi likkhun
ki jin ke roz-o-shab kothe ki chhoti kothari mein malgaji si raushni mein zindagi ki talkhiyan chun kar guzarti hain

ki jin ke phul se komal badan ne thuk se luthde badan ka fasla sa tai kiya ho chand lamhon mein
ki jin ke tan se lakhon wahshiyon ne raat-o-din ke har pahar mein jaan-fishani se hawas ki fasl kati ho

kabhi dil chahta hai in tawaif-zadiyon ki zindagi bartun
jo din dhalte hi rozina badan par khushnuma chadar chadha kar apne hisse ki munderon se jhalakti hain

dhalakti chhatiyon ko ek ada-e-be-niyazi se hawas ke nilgun bazar mein nilam karti hain
pichakte pet sukhe than ki zarkhezi ki khatir wo zamin-e-jism ke raazon ko tasht-az-baam karti hain

kabhi dil kulbulata hai ki puchhun aainon ke shahr mein be-chehragi kaisi
wo wahshi jo pas-e-diwar apne dast-e-jinsi se dur-e-nasufta ki pakizgi ko tar karte hain

unhen din ke ujale mein unhen aamal-namon ke hawalon se sawalon mein pirone se bhala be-ghairati kaisi
wo chikhen jo pas-e-zindan ghutti hain sisakti hain wo sae jo pas diwar rulte hain kuchalte hain

mujhe un ki kahani ko ghinauni zindagani ko yun nazmon mein samone se zamane ko batane se bhala be-pardagi kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close