ye zindagi bhi khuda ki ajib neamat hai jo sans aati hai sab se badi wo daulat hai hayat ek nai aawaz bhi hai raaz bhi hai sahar ke git ba-tadrij gae jate hain zaban milti hai izhaar-e-arzu ke liye mohabbaton ke tarane sunae jate hain isi hayat isi kar-gah-e-hasti mein guzarte rahte hain hum sab musafiron ki tarah tasawwuraat-o-khayalat sath sath liye barahna-pai ki lazzat mein jogiyon ki tarah zamin ki khak hain hum khaksar rahte hain ye tera mera ye apne parae kuchh bhi nahin ye zindagi to faqat mohlat-e-mohabbat hai azal azal hai azal ke siwae kuchh bhi nahin isi liye mere hamdard mere mukhlis dost charagh-e-lamha ghanimat hai is ko jalne de ise munafa ka sauda samajh ke tu na parakh jo lau ubharti hai dil mein use ubharne de yahi wo lau he jo raushan dimagh karti hai isi charagh ko nur-e-hayat kahte hain khuda se bande ke rishte ko jodta hai ye nur ye rabt wo hai jise kaenat kahte hain ye kaenat tasalsul sahar ka sham ka hai haqiqaton ka musalsal safar hai harakat mein safar ka manzil-e-akhir abad se ja milna khula ye raaz ki hum hain kisi ki qudrat mein use talash karen aur usi ke ho jaen ghaneri chhanw jahan ho wahin pe kho jaen