chanda mamun chanda mamun mujh ko zara ye samjhao jab hum chhote bachche the dadi se kahani sunte the ki chand pe budhiya rahti thi wo charkha kata karti thi hum kachche khwabon mein aksar wo budhiya dekha karte the aur phir ye socha karte the wo budhiya kitni pyari hai jo khwab mein aksar aati hai aur pyar se lori gati hai aur mera ji bahlati hai charkhe ka qissa sunati hai chanda mamun chanda mamun ye baat tumhi ab batlao ab ye uljhan bhi suljhao wo budhiya ab bhi dikhlao jo waqt ki aandhi ne yak-dam nazron se ojhal kardi hai kyon dhundne se milti hi nahin kya sare qisse bhul gai kya munh phera aur ruth gai ya hum insanon ne us ko khud chand-badar kar dala hai chanda mamun dukh se bole ye waqt ki kaisi karwat hai insan ne zamin ko dhundlaya phir chand ko bhi hai gahnaya budhiya ke nishan mitane ko wo chand talak bhi hai aaya