'charlie-chaplin' ne kaha use barish mein chalna pasand hai kyunki tab koi us ke aansu nahin dekh pata us ne chaar shadiyan kin aur bara muashiqe aurten us par fida thin wo unhen kisi bhi waqt joy-ride de sakta tha jab 'charlie' ke pairon mein phate hue jute hua karte the ek aurat ne us ki mohabbat mustarad kar di thi us ne barish mein chalna shurua kar diya koi us ke aansu nahin dekh pa raha tha use hansi aa gai wo ye hansi farokht karne laga us ki filmen dekh kar wo log bahut hanste hain jo aansuon ko barish se alag nahin kar pate jinhon ne chhup kar nahin dekha hota apni mahbuba ko jab un ke pairon mein jute zakhmon ki tarah khule pade hote hain wo jin ke pas phate hue jute hote hain un ke pas ek kahani bhi hoti hai 'charlie-chaplin' ke pas bhi ek kahani thi jis ne ek barish mein use rula diya ek roz use ilm hua us aurat ko mare das sal ho gae aasman saf tha 'charlie-chaplin' ne rone ke liye kisi barish ka intizar nahin kiya