hamari aankhon mein jalne wale nuqush baqi hain kan mausam ki garm aahat se chaunk uthte hain bhigi mitti ka lams fan ko nikhaar deta hai nursery ke purane gamlon mein parwarish ke tamam aadab khub sajte hain hawa abhi tak hamare pedon ki sard shakhon mein sarsaraati hai hont hilte hain aur gaek hamare wijdan ki shat aur athah lahron mein bah nikalta hai hamari masum aatmaon ki jot dharti pe jagti hai hamari mehwar pe ghumti hai kya hua jo hamari duniya mein din ki nafrat ya shab ka dhoka bhi hadisa hai hamare alfaz ka na koi tarikh saaton ki na koi wirsa na koi tahzib sab ghalat hai mufahamat ke tamam bandhan bikhar chuke hain hamari aankhen hi dekhti hain aur koi aawaz hamari tarikh ki hikayat se mawara hai dimagh patthar uga rahe hain