chashm-e-be-khwab ko saman bahut! raat-bhar shahr ki galiyon mein hawa hath mein sang liye khauf se zard makanon ke dhadakte dil par dastaken deti chali jati hai raushni band kiwadon se nikalte hue ghabraati hai har taraf chikh si chakraati hai hain mere dil ke liye dard ke unwan bahut dard ka nam samaat ke liye rahat-e-jaan dast-e-be-maya ko zar nutq-e-khamosh ko lafz khwab-e-be-dar ko makan dard ka nam mere shahr-e-khwahish ka nishan manzil-e-reg-e-rawan dard ki rah pe taskin ke imkan bahut! hijr ka dard kathin hai phir bhi wo bhi us roz bichhad kar mujh se khush to na thi us ne ye manzil-e-gham kis tarah kati hogi wo bhi to meri tarah hogi pareshan bahut (dard ki rah mein taskin ke saman bahut) kya khabar us ki samaat ke liye dard ka nam bhala ho ki na ho shahr-e-khwahish ka nishan nutq-e-khamosh ka izhaar hua ho ki na ho dast-e-be-maya ka zar (wo tahi-dast na thi) hijr ka dard bana ho ki na ho us ki galiyon mein rawan dastaken deti hui surkh hawa ho ki na ho ishq-e-nau-khez ke arman bahut shauq-e-gul-rang ke raste mein bayaban bahut sokhta-jaan bahut chashm-e-be-khwab ko saman bahut