din-bhar coffee-house mein baithe kuchh duble-patle naqqad bahs yahi karte rahte hain sust adab ki hai raftar sirf adab ke gham mein ghaltan chalne phirne se lachaar chehron se zahir hota hai jaise barson ke bimar urdu-adab mein dhai hain shaer 'mir' o 'ghaalib' aadha 'josh' ya ik-adh kisi ka misra ya 'iqbaal' ke chand ashaar ya phir nazm hai ek chuhe par hamid-'madni' ka shahkar koi nahin hai achchha shaer koi nahin afsana-nigar 'manto' 'kirshn' 'nadim' aur 'bedi' in mein jaan to hai lekin aib ye hai in ke hathon mein kund zaban ki hai talwar 'ali' afsar 'insha' babu 'nasir' 'mir' ke bar-khurdar 'faiz' ne jo ab tak likkha hai kya likkha hai sab be-kar un ko adab ki sehhat ka gham mujh ko un ki sehhat ka ye bechaare dukh ke mare jine se hain kyun be-zar husn se wahshat ishq se nafrat apni hi surat se pyar khanda-e-gul par ek tabassum girya-e-shabnam se inkar