chashm-e-tamanna

chashm-e-tamanna
jise nind aai thi sadiyon ki bimariyon ki thakan se

jag utthi hai shayad
badan mein naya din shagufe ki manind ubhra

shafaq-zar ban kar
dil ki aaghosh mein aa basa hai

nazare mein mashur rahne ki khwahish janam le rahi hai
basa kar use apni nazron mein

shadab aankhon mein rahne ko ji chahta hai
wahi rang-o-bu ki hararat ki halki lakiren

tamazat ke jhonke badan chhu rahe hain
bahaar aa gai yaad ki wadiyon mein

safar ke iradon se mayus kashti
kinare pe yun aa lagi hai

ki thahri hui jhil ki raushni mein naya ghar basa hai
ye chashm-e-tamanna ki kashti bani hai naya aashiyana

nilgun raushni tairti hai
magar ye khadi hai

zamane mohabbat ke phir laut aae hain shayad
waqt ke thahar jaane ki shayad ghadi hai

qayamat kadi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close