kitaben tum se achchhi hain

kitaben tum se achchhi hain
sirhane ke bahut nazdik jo

is tarah meri muntazir rahti hain jaise
koi ladki khwab ki dahliz se

anjaan shahzade ki rahen dekhti ho
kitaben tum se achchhi hain

ki jab main sham ko
din bhar mashaqqat kar ke un ke pas aata hun

to ye apni qabaen khol kar
alfaz ki khushbu basati

meri banhon mein samati hain
ye meri aankh mein khush-rang nazzare samo kar

mere honton par
sada-e-harf rakhti hain

to yun mahsus hota hai
ki jaise qaf ki koi pari

honton pe mere
apni nazuk ungliyon ka lams rakhti ho

kitaben tum se achchhi hain
main jis mauzua par chahun

ye mujh se baat karti hain
mila kar mere shane se ye shana

aagahi ke raste par sath chalti hain
kitaben tum se achchhi hain

meri aankhon ki be-khwabi samajhti hain
so mujh ko loriyan de kar

meri nindon ko khwabon se sajati hain
mere sine pe sar rakh kar

mujhe furqat ke zholida khayalon se bachati hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close