pakwan kya maze ke lata hai chat wala le kar bada sa thaila aata hai chat wala bambai ki bhail-puri ujjain ki kachauri kha kar inhen hui hai har ek zaban chatori ragda masala bachcho jis shakhs ne na khaya samjho ki zindagi ka us ne maza na paya tikyan ye aaluon ki is par maze ke chhole lazzat jo un ki pae gunga zaban khole dekho dahi-bada to aata hai munh mein pani aksar to nam un ka lata hai munh mein pani yun surkh se tule hain ye papdiyan samose jo ek nazar bhi dekhe khane ki baat soche garma-garam pakaude chatni phir imliyon ki aalu bade maze ke mirchen bhi tez tikhi khana zarur bachcho aakhir mein pani puri is ko agar na khao phir chat hai adhuri likhi 'niyaz' ne bhi ye nazm chat kha kar tum bhi sunao bachcho sab ko ye nazm ga kar