ghar ki jhalak

jhalak to dekho hamare ghar ki yahan hain nani yahan hain tai
hamare man bap aur chacha hain yahan hain bahnen yahan hain bhai

hamara ghar hai hasin gulshan khushi ki kaliyan khili hui hain
wafa ki khushbu basi hui hai hui na hogi yahan ladai

hamare abbu ki dekho azmat har ek kurta hai in ki izzat
nazar mein in ki hain sab barabar inhin se milti hai rahnumai

kama rahe hain halal rozi bana diya hai hamein namazi
inhin se ghar mein hai khair-o-barkat kisi ki karte nahin burai

hamari ammi hain nek sirat hamein mili hai inhin se rahat
sada kitchen mein hai kaam un ka paka rahi hain chikan fry

labon pe un ke sada tabassum zaban un ki hai khub shirin
nahin hai kaamon se un ko fursat kabhi safai kabhi silai

hamein hai un se dili mohabbat unhin ke qadmon tale hai jannat
badi mohabbat se parwarish ki hai un ki fitrat mein parsai

ajib shai hain chacha hamare nahin kisi ki samajh mein aae
liye hain pyale mein murgh chhole usi mein dali hai ras-malai

jo mud ho to sunaen nama thumak thumak kar bajaen tabla
gae wo ek roz chhat ke upar wahan chacha ne patang udai

madad wo ammi ki kar rahe hain tawe pe chamcha chala rahe hain
sawere uth kar chacha hamare gali ki karte hain khud safai

wo sair karne gae hain bahar pahan ke banyan aur langoti
badi si pagdi hai sar ke upar latak rahi hai gale se tie

badi hain sab se hamari nani sunati hain wo hamein kahani
zaban pe zikr-e-khuda hai jari thikana un ka hai chaarpai

dakarti hain hamari tai hamesha piti hain wo dawai
bada sa takiya hai sar ke niche badan ke upar hai ek razai

badi bahan ka hai nam raziya wo nowelon ki bahut hai rasiya
kashidakari mein hai mahaarat maze se khati hai wo mithai

bahan surayya ne laya gudda bahan ruqayya ne lai gudiya
saheliyon ko bula ke shadi khushi se dalan mein rachai

hamara anwar hai das baras ka musawwiri se use hai raghbat
bana ke taswir jab dikhai to bhai bahnon se dad pai

hai sab se chhota miyan munawwar magar hai talim se mohabbat
dawat le kar wo likh raha tha gira di kapdon pe raushnai

zara sa apna bhi haal kah dun main ek collage mein padh raha hun
kitab se meri dosti hai kabhi na chhodunga main padhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close