subh suraj raat ki tira-salakhon se nikal aaya aur us ne shahar ki nangi hatheli mein shua-e-harkat-e-be-sud ki ek kil gadi aur sare shahr ki makhluq jaise apne apne halqa-e-marg-e-musalsal ki taraf bhagi udhar chauthe quarter se wo nikli pople munh aur pichke gal make-up ke plastar mein chhupae fasioni kapdon mein kafnaya budhapa jis tarah qabron pe koi shakhs shahnai bajae aur hamesha ki tarah hamrah thi us ki jawan beti ki jis ki sanwli surat mohalle ke jawan ladkon mein rozana ladai ka bahana hai wo din bhar yunhi bazaron mein apni jawan beti ko ungli se lagae ghumti rahti hai jis par log kahte hain ki ye budhiya koi mashkuk aurat hai isi bais mohalle mein kabhi chauthe quarter ko kisi ne achchhi nazron se nahin dekha main akasr sochta hun gar koi us ke quarter se gine mera quarter bhi to chautha hai bas itna farq main shair hun jab koi ghazal ya nazm likhta hun to akhbaron mein chhapwata hun yaron ko sunata hun jahan-bhar ko batata hun ki main ne nazm likkhi hai