sard raaton ka hasin ek khwab hai chehra tera kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera nikhat-e-gesu ko teri nikhat-e-sumbul likhun tere narm-o-nazuk in honton ko barg-e-gul likhun aarzu par ye araq lagta hai shabnam ki tarah aur sani is mein laten lagti hai resham ki tarah jaise koi gulshan-e-shadab hai chehra tera kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera nur se kuchh is tarah hai chashm teri tar-ba-tar chandni ka aks jon utra ho sath-e-ab par putliyan donon teri aankhon mein do nilam lage aur teri aankhon ka pani mujh ko jam-e-jam lage waqt-e-subh ye aalam-e-simab hai chehra tera kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera qaul har nikla zaban se jo teri shahdab hai aur labon ka til kitab-e-ishq ka ek bab hai hai musawwir ki tere ang ang mein gul-kariyan moajiza lagti hai tere husn ki ranginiyan gauhar-e-nayab hai zartab hai chehra tera kya kahun bas manzar-e-nayab hai chehra tera