khubsurat shai har ek nikli hai teri zat se hi chhu ke shajron ko guzarti ye hawaen aur abr-alud rangin ye fazaen dariya mein atkheliyan karti ye lahren aur sahil par nikharti ye shuaen jaanta hun hu-ba-hu jannat hai ye sare nazare lekin ek din ye nazare hi sabab honge tabahi ka jahan ki zulf-o-chashm-o-ariz tere aur tera har ek dhab sar-ba-sar ehsas dete hai iram ka mujh ko bhi yani sabab meri tabahi ka tu hogi