tamazat se mahrum afkar ke zard suraj ugal kar sabhi apne aslaf ki khopadiyon ki malaen pahne ajanme hue apne bachchon ki shaklon ko barud ke dher par rakh rahe hain wo bachche jinhen janm lena pada tha wo apne gharon mein andhere saja kar charaghon ko apni hi qabron pe rakhne chale aa rahe hain yahan man ke sine se ukhdi hui chhatiyan milk powder se bharne nai nasl bazar mein aa chuki hai kitabon ke ambar se ugne wali ye tahzib apne khudaon ko aawaz dene lagi hai magar amn ki sari jeben hain khali wo sare khuda ghair-mahfuz hain