ye mera shahr hai khub-surat hasin chandni ka nagar dhup ki sarzamin shahr ke roz o shab meri aankhen jis tarah putliyan aur safedi main in aankhon se sab manzar-e-rang-o-bu dekhta hun rasta rasta ku-ba-ku dekhta hun main ki shab-gard shair chand se baaten karte hue chal pada tha ek basti mili malgaje aur siyah jhonpade chaar-su jhonpade jin ki shamon mein sansen na thin zard bimar ujale rakh aur gandagi ek ufunat ka ambar zindagi jaise sharma rahi thi meri jaanib kahin dur se ek saya badha main ne puchha ki tum kaun ho wo ye kahne laga main ki zulmat hun tum raushni do mujhe main jihaalat hun tum aagahi do mujhe main najasat hun pakizgi do mujhe lo suno aur dekho mujhe main chhata aadmi hun bacha lo mujhe main chhata aadmi hun bacha lo mujhe