lo phir hamari eid aa gai hai har ek khush hai ghar ghar khushi hai kya qahqahe hain kya dil-lagi hai har samt goya shadi rachi hai munni uthegi tadke sawere jhat-pat naha kar pahnegi kapde kapde bhi kaise gote zari ke resham ka jampar makhmal ke jute pahnegi munni zewar bhi apne zewar jo us ke abba hain lae hathon mein kangan panw mein lachchhe mathe pe tapka kanon mein jhumke ammi se le kar eidi ke paise bhayya ko degi kah kar ye un se padh kar dogana mele mein ja ke mere liye bhi lana khilaune chini ki gudiyan chini ke gudde gudiyon ke bartan gudiyon ke gahne bhayya bhi jaldi jaenge ghar se kapde badal kar takbir padhte wajib dogana mil kar padhenge khutba sunenge khamosh baithe kar ke duaen baham milenge ulfat ke ghunche dil mein khilenge aaenge phir kar jab eid-gah se le kar mithai le kar khilaune bhai bahan sab khelenge mil ke guzrega din phir lutf-o-khushi se 'nayyar' mubarak ye eid sab ko ho is khushi ki phir did sab ko