chhink

main ne puchha hakim dada se
chhik aakhir kahan se aati hai

muskura kar jawab unhon ne diya
nak ke darmiyan se aati hai

main ne un se kaha ki dada-jaan
is se matlab to hal nahin hota

tab wo bole ki nak ki jad mein
ek hota hai chhik ka khota

chhik rahti hai apne khote mein
apne ande usi mein deti hai

bahar aana ho jab kabhi us ko
ek bharpur udan leti hai

chhik ko chhedte bhi hain kuchh log
le ke naswar dal kar batti

is se wo kulbula ke uthti hai
zor se jhadti hai dolatti

jab nikalte hain chhik ke bachche
aadmi ko zukaam hota hai

aankh jalti hai nak bahti hai
sans lena haram hota hai

sun ke ye dastan-e-wahshat-nak
nak mein chyuntiyan si reng gain

mera sara wajud dol gaya
ek bhaunchaal aa gaya hachin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close