Khaarji shikast

mujhe aaj phir tum se mil kar badi na-umidi hui hai
wahi tarz-e-guftar chehre pe gahri udasi ka aalam

zamane ki bedad haalat ki kaj-adai ka shikwa
tag-o-tar taqdir ki na-rasai ka matam

tahi-damani par pasheman hone ki masum koshish
jawan khubsurat mahakte hue roz-o-shab ka tasawwur

nashat-afrin mahfilon mein kabhi baryabi ka darman
gulabon ki manind khilte hue jism chhune ki khwahish

mujhe kab se hasrat hai ek shab kabhi tum
meri mahfil-e-naz mein yun bhi aate

mujhe jism-o-jaan ki sabhi rahaten saunp dene mein koi
takalluf na hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close