chiDiyon ki shikayat

chidiyon ne be-tarah sataya hai
mere kamre ko ghar banaya hai

chhat pe un ko jahan mili hai jagah
ek na ek ghonsla banaya hai

ain mere palang ke upar
hai jo hissa wo un ko bhaya hai

tar bijli ka hai jo chhat pe laga
wo to miras hi mein paya hai

koi khunti ho taq ho dar ho
un ki jagir mein wo aaya hai

sar pe biton ka meinh barasta hai
be-dhab aisa ye abr chhaya hai

takiya par mez par kitabon par
mohr ka sa nishan banaya hai

hissa mujh ko bhi kuchh mila hai zarur
jab chida tinke le kar aaya hai

un ki chun chun ka rag sun kar dil
gana sunne se tang aaya hai

sab ke sar par khuda ka hai saya
mujh pe un ke paron ka saya hai

is qadar bit karti hain kam-bakht
nak mein dam har ek ka aaya hai

subh se lad rahi hain aapas mein
sar pe sara makan uthaya hai

padh nahin sakta likh nahin sakta
is qadar shor-o-ghul machaya hai

aisa malum hota hai goya
mera kamra nahin paraya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close