kabhi wo sada gungunati subuk-rau hawaon ki aahat thi dhire se girti hui nind se chur palkon ki larzish thi gung aur nili fazaon mein udte hue ek panchhi ki masti bhari phad-phadahat ka naghma kali ke chatakne ki aawaz thi ab wahi ek sada gunjte gunjte bawli raat ki chikh mein hai hawaon ki roti hui bansuri baadalon ki garaj meri rag rag se uthte hue dard ki lai bani hai kabhi mere viran sanson mein chalte hue tez jhakkad ki aawaz hai meri sulgi hui khwahishon ka umadta hua shor hai