sham ki gungunati hawao mujhe sath apne udate hue le chalo wo jahan unche unche darakhton ki ghamnak si chhanw hai chand taron ke raston se aage mera ganw hai mera ghar suna ghar apne bazu badhae mera rasta tak raha hai koi ajnabi si sada mere kanon mein aati hai mujh ko bulati hai jaane kahan unche unche darakhton ki ghamnak si chhanw hai mere sirhane ka tha nanha munna daricha kai bar khulta raha jagmagati hui raushni aai mausam badalta raha chandni raat mein phul khilte magar main ne dekhe nahin dil mein sahmi hui khwahishon ke kabhi hont hilte magar main ne dekhe nahin main ne jab darte darte kabhi aankh kholi mere chaaron jaanib dhundalka sa tha main ne chupke se jab bhi kabhi sans li meri rag rag mein simta hua mera dukh kam nahin ho saka main ne nile khalaon mein udte hue panchhiyon ko sada di magar mera koi na tha aaj bhi mera koi nahin dolti sans aaegi albeli dulhan ki tarah lajati ye phul aur khushbu mere raste ke hain sathi sitare hain rote hue nanhe munne baraati mere waste ab judai ki fariyaad ka git gao hawao