(2) chhalni hai andhere ka sina, barkha ke bhaale barse hain diwaron ke aansu hain rawan ghar khamoshi mein dube hain pani mein nahae hain bute galiyon mein hu ka phera hai 'chopin' ka naghma bajta hai ek gham-gin ladki ke chehre par chand ki zardi chhai hai jo barf giri thi is pe lahu ke chhinton ki rushnai hai khun ka har dagh damakta hai 'chopin' ka naghma bajta hai kuchh aazadi ke matwale, jaan kaf pe liye maidan mein gae har-su dushman ka nargha tha, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe aalam mein un ka shohra hai 'chopin' ka naghma bajta hai ek kunj ko sakhiyan chhod gain aakash ki nili rahon mein wo yaad mein tanha roti thi, liptae apni bahon mein ek shahin us par jhapta hai 'chopin' ka naghma bajta hai gham ne sanche mein dhaala hai ek bap ke patthar chehre ko murda bete ke mathe ko ek man ne ro kar chuma hai 'chopin' ka naghma bajta hai phir phulon ki rut laut aai aur chahne walon ki gardan mein jhule dale bahon ne phir jharne nache chhan chhan chhan ab baadal hai na barkha hai 'chopin' ka naghma bajta hai