kath ke bail mard, shishe ki putliyan aurten, pasine ki bundiyan, gul mahak shamim-e-badan chaak-e-dil zakhm-e-jeb-o-pairahan car, lari, kiwad aankhen, fan, lal-o-almas aahan-o-faulad qahqahe, chahchahe, fughan, fariyaad soi, hathi, anath, bachche, dil tishnagi, talkhiyan, tajalli, did kaun si aas, kaun si ummid kaun si jins chahiye tujh ko har zarurat ka mal hazir hai mal ye sab kahan se aata hai bechta kaun, kaun lata hai kis se kis ne ise kharida hai kitne damon ye uthta jata hai bambai ki ariz sadkon par jab koi taza jins duniya ki koi nikhra hasin-rukh, main ne koi lahki hui jabin dekhi yahi dil mein khayal aaya hai tajarba-kar koi saudagar koi dallal ya koi sariq sar-e-bazar us ko laya hai jaane kis roz bich dalega wo bhi aise ki us ke damon ka dusre hath ko pata na chale jaane kis roz kitne darwaze chhu ke ye jins-e-be-baha aakhir kisi footpath ke kinare par lat ki lat ban ke uth jae zindagi hai ki mal sariqe ka chor-bazar hai ki duniya hai!