dhal gai raat teri yaad ke sannaton mein bujh gai chand ke hamrah wo duniya jis ka aks aankhon mein liye main ne thakan bandhi thi nim ghayal hain wo shaffaf irade jin par kitni masum tamannaon ne labbaik kahi jaane kis shahr ko aabaad kiya hai tu ne dhadkanen bhigti palkon se bandhi jati hain zindagi asr-e-hama-gir mein be-mani hai jaane kis pahr tere adl ke aiwanon mein nim hamwar zamin walon ki fariyaad suni jaegi aks jo ek samay qurb mein the dur nazar aate hain garm sanson ki mashaqqat se badan chur nazar aate hain