gul abbas gulab chambeli genda champa bela huhi kal tak in se lade hue the aaj udas khade hain paude chuhe phul kutar jate hain banjar ko zarkhez bana kar kheton mein faslen lahra kar jo khaliyanon ko bharta hai wo kisan bhukon marta hai ghalla to chuhe khate hain bachcho aisa kab tak hoga tum chahoge jab tak hoga roko is sina-zori ko mehnat-kash ko bhi khana do chuhe tum se ghabraate hain