wo zamane aur the jab tera gham sahta tha main jab tere honton ki rangini se kuchh kahta tha main jab tere baalon se ghanton khelta rahta tha main bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja yak-ba-yak bijli si chamki aur nasheman lut gaya tu ne barson jis ko sincha tha wo gulshan lut gaya tu ne moti jis mein tanke the wo daman lut gaya bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja tujh ko jis dil se mohabbat thi wo ab dil hi nahin raqs jis ka tujh ko bhata tha wo bismil hi nahin rang-e-mahfil tujh se kya kahiye wo mahfil hi nahin bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja ab na wo shauq-e-tasawwur, ab na wo zauq-e-fughan mit rahe hain rafta rafta ahd-e-rafta ke nishan dhundli dhundli si nazar aati hain kuchh parchhaiyan bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja ye jawani, ye pareshani, ye paiham iztirab bar-ha uljhan mein dauda hun su-e-jam-e-sharab bar-ha ghabra ke chheda hai gunahon ka rabab bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja rang-e-sahba aur hai sahba ki masti aur hai zikr-e-pasti aur hai ehsas-e-pasti aur hai khwab-e-hasti aur hai tabir-e-hasti aur hai bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja