khwab hi to mile hain hamein roti ke khwab talim ke khwab hukmaranon ne dikhae aazadi ke baad nai tanzim ke khwab painsath sal ke baad bhi hum karte hain un ki qadam-bosi hukmaranon ne kya ghol kar diye hain is yaqin ke khwab na sadak na bijli na pani na rozgar hai mayassar mulk ke ikkiswin sadi mein pahunchne ke ye hasin se khwab mat aawaz utha mat mang insaf jara sa dar pyare warna tu dekhega hawalat mein baith ke nangi zamin pe khwab aankhon mein bhar le haqiqat ke kanch ke tukde taki khuli rahen jagte hue tai karen hum khud ke liye behtarin se khwab