khushiyon ke git gao ki pandrah august hai sab mil ke muskurao ki pandrah august hai har samt qahqahe hain charaghan hai har taraf tum khud bhi jagmagao ki pandrah august hai har gosha-e-watan ko nikhaaro sanwar do mahkao lahlahao ki pandrah august hai aazadi-e-watan pe hue hain kai nisar khatir mein in ko lao ki pandrah august hai rakkho na sirf khanda-e-gul hain nigah mein kanton ko bhi hansao ki pandrah august hai ruhen aman-o-amn ki pyasi hain aaj bhi pyas in ki ab bujhao ki pandrah august hai shama khulus-o-uns ki maddham hai raushni lau aur kuchh badhao ki pandrah august hai ye ahd tum karo ki fasadat phir na hon han aag ye bujhao ki pandrah august hai khao qasam ki khun pilaenge mulk ko dil se qasam ye khao ki pandrah august hai har hadse mein ahl-e-watan mustaid rahen wo walwala jagao ki pandrah august hai uncha rahe sharafat-o-akhlaq ka alam parcham buland uthao ki pandrah august hai ho dard-e-dil mein jazba-e-hubb-e-watan fuzun 'maftun' qalam uthao ki pandrah august hai