raat ki kali barish ne chehron ki wardi kichad se bhar di hai mere sine ke pinjre mein khun ka gardish karne wala lattu nafrat ke paudon ke upar ghum raha hai tum ne aise kante meri shiryanon mein boe hain aisi dopahron ki zardi mere galon pe lipi hai ki main bistar ki shiknon mein apni aankhen bo kar rota hun pahli bar jab gham ki putli qash ko chehre se nocha tha jab ghurbat ke auraq hawa mein udte the jab khali meade ki taswir bana kar us mein chizen rakhta tha phate hue kapdon mein jab taswir chhupa kar rakhta tha meri shahwat kunwar pane ki dahlizon par apna khutba likhti thi bis baras un galiyon ki diwaron se takra takra kar mere kandhe ret ke pushte ban kar dhete jate hain main jo teri ranon ke jangal mein kale phul ko todne nikla tha ab dekh raha hun dil ki kori mitti mein tere jism ki patli shakhen ugi hui thin aur ek aawara sannata chhaton par bhaari qadmon se badi aahistagi ke sath chalta hai to wo chupke se mere pas aati hai aur apne dhime lahje mein wo sari dastanen kah sunati hai jinhen sun kar main dhimi aanch par pahron sulagta hun kisi girje ke viran lawn mein jab january apne sunahri gesuon ko khol kar koi purana git gati hai to wo ek an-chhui nan ki tarah patthar ke benchon par mere kandhe par sar rakhe mere chehre pe apni ungliyon mein kabhi jab sham roti hai siyah kafi ke pyalon se lapakti bhap mein phir aandhi ki aamad se aisi gard hui aisa habs meri sanson mein phaila tere jism ki kashti mein main apne kapde bhul aaya par tum ne aadhi raat ko aisi chutki li nind ki dholak ghutnon ki zarbon se chaknachur hui ab munh se shira bahta hai un zakhmon ka jin ke tanke andar hi andar tute hain bijli ki taron ke upar kawwe qatar mein baithe hain barish ke pani mein jin ke askari bazu hilte hain ranon ki ye nili wariden jin mein dua ka naqshi kuza ulat gaya hai main ne un galiyon mein apne marne ki afwah suni hai khush-ilhan moazzin ki aawaz se chidiyan udti hain ai raston ki radha tere wasl ki khatir jism ke niji hisse dho kar laut ke phir main aaya hun mere badan pe sabr ke nile dhabbe hain pusht pe ham-jinsi ke aansu hain nim ke ped ke danthal hain jo meri kamar mein boe hain kachnar ke sukhe patte hain main jin ko paka kar khata hun chaar dahaiyon se main gande parnale ke niche istada hun samajh raha hun chup ki barish ka ye maila pani hai ye pani jo sine ke baalon se gir kar foton ko tar karta hai dol mein bhar kar shor aalud zamin par girta jata hai meri chup ne raston ko pamal kiya hai meri chup ne sanp ki kundli mein se zahr nichoda hai mujh ko apne kandhon ke zerin hisson ke hamle se be-quwwat kar dala hai